Aaj main apne website par aap logo ko bahut achhi jankari dene wala hu ye post poora padiye...Dosto Computer Ya Mobile aaj ka sabse bada aadat ban chuka hai waise me aapka sara data aapke computer me hi rehta hai jo ki bahut important file ya data hota hai jo anjane me galti se delete ho jata hai aur jyada tar log apna time bachane ke liye shift+del buttom ka use karte hai file ko delete karne ke liye isse aapka data recycle bin me nahi jata hai ye bahit badi galti hai to aaj ka mera post unke liye hai jo apne computer ya laptop me deleted file ko recover karna chahte hai
to mai un bhaieyo se kehna chata hu ki agar aapka important file ya data ko recover karna chahte hai to ye post padh ke apna data photos ya videos kuch bhi apne computer me paa sakte hai dubara
computer me deleted files bhi dobara recover kiya jaa sakta hai
Dosto ab
mai aapko ye bhi bata deta hu ki files delete hone ke bad kaha par jati
hai to mai aapse kehna chahta hu ki wo files hamesa ke liye delete nahi
hota hai asal me wo computer ke hard drive me tab tak hota hai jab tak
waha par koi file create naa ho to aapko tenson lene ki koi jarurat nahi
hai mai aapko ek aise softwere ko aapke samne pesh kar raha hu jiski
madad se aap koi bhi delete file ko dobara recover kar sakte hai aaeye
jante hai kaise recover kare step by step
Step 1: Computer ya laptop me deleted files ko recover karne ke liye RecuvaSoftware Download Kare
Ye application sirf 4.4 mb ka hai aap download karle uske bad aap apne computer me install karke open kare
Step 2:
jab aap isko open karenge tab aapko jo chij aapka delete hua wo select
kare jaise aapka video hua hai to aap video select kare agar all file
select karenge tab aapka jo jo delete hua hoga wo aapka recover hone
lagega
Step 3: All files select karne ke bad aap Next ki buttom par click kare
Step 4: uske bad aapko I m Not Sure Select Karke Next Ki Buttom Par Click Kare
Step 5: Phir aapse ye Deep Scanning karne ko bolega aap usko on karke Start Ki Buttom Par Click Karde
uske bad aapka sara file ya data list me aajayega aap sabko select karke Recover Kar sakte hai
ummid karta
hu dosto ye trick aapko jarur pasand aaya hoga aur agar aapko kahi par
problem aaraha hai to aap hame comment ke madhyam se puch sakte hai
COMMENT HERE ConversionConversion EmoticonEmoticon