apne Adhar Card Se Paise Transfer Kaise Kare Aur Nikale New Hindi Tips.

 Hello Dosto Mai Yk Sahu Mai apne Blog Par Aapko New New Tricks & Tips deta Rahta To Aaj Maine Socha Hai Ki aap Logo Ko Bahut Achhi Tips De Raha Hu Ye Aapki Bahut Help Karega.Poora Post Padiyega
Dosto ab aap apne aadhar card se bhi paise transfer kar sakte hai, Indian Government ne haal hi me aadhar card se money transfer ki scheme ko launched kari hai, Iski madad se ab aap cashless kisi ko bhi money transfer kar sakte hai aur Adhaar Micro ATM se paise bhi nikal sakte hai.
Aadhar card se paise transfer kaise kare

Bas kuch hi din me ab aapka aadhar card Debit card ki jagah le lega,  Ji han isme shocked hone wali koi baat nahi ab aap direct bank me apna aadhar number or anguthe ka nissan dikhakar kisi ko bhi money transfer kar sakte hai aur isse paise bhi nikal sakte hai, Isse un logo ko bahut rahat milegi jinke pass khud ka Debit or Credit card nahi hai.

Government ne bahut soch samjh kar apni ish scheme ko launch kari hai, Ye un logo ke liye bahut acha hoga jinke pass cashless money transfer karne ka koi sadhan nahi hai, India me bahut logo ke pass khud ka Debit card nahi hai jisse unhe paise transfer or kisi ko payment karne me bahut problem hoti hai, Isi ko dekhte hue Modi sarkar ne aadhar card se paise transfer ki scheme ko start kari hai.

Aadhar Micro ATM Kya Hai?

Ye normal ATM swipe machine ki hi tarah dikhati hai aur usi ki tarah work bhi karti hai lekin isme apna bank account authorise tarike se LogIn karne ke liye aapko apna Aadhar card aur anguthe ke nisan ki jarurat padti hai.
Isme se paise transfer or nikalne ke liye aapko sabse pahle isme apna adhar card number type karna hota hai aur uske baad apne anguthe ka nishan lagakar isme LogIn karna hota hai, Ye machine aapko har jagah mil jayegi par iska use karne aur money transfer ke liye aapka bank account aapke aadhar card se Link hona jaruri hai.

Aadhar Card Se Paise Kaise Transfer/Nikal Sakte Hai?

Isme se money transfer or paise nikalne ke liye sabse pahle to aapka UID card aapke bank account se Link hona chahiye, Mujhe lagta hai sabhi logo ne aadhar ko apne bank account se link kara liye hoge aur abhi tak kisi ne nahi karaya to wo bhi ish money transfer service ka labh uthane ke liye jald hi apne aadhar ko bank account se Link kar lijiye.
Step 1. Sabse pahle Aadhar Micro ATM me apna aadhar number enter kariye.
Step 2. Ab Biometric par apne angutha rakhe.
Step 3. Jaise hi aapke anguthe ki nissan scan kar li jayegi tab aapke bank account par apki authorised entry ho jayegi.
Step 4. Ab aap yaha kisi ko money transfer kar sakte hai ya paise nikal sakte hai.

Aadhar Micro ATM Ke Fayde Kya Hai?

Iske apne bahut fayde hai, Isse un logo ko bahut jyada fayda milega jinke pass Debit card nahi hai, Logo ko paise nikalne me rahat milegi aur to aur cashless money transfer or payment kiya jayega jisse currency ki economy me kafi sudhar hogi.
  1. Easily bank account par authorised entry kar sakte hai.
  2. Bank balance check kar sakte hai.
  3. Money transfer kar sakte hai.
  4. Paise nikal sakte hai.
  5. Kisi ko payment kar sakte hai.
Iska sabse jyada fayda villages me rahne wale logo ko hoga, Unhe paise nikalne ke liye or Fund transfer karne ke liye bank me ghanto khade nahi rahna padega aur to aur wo iske use se online payment or money transfer bhi kar sakte hai
Jaha jaha note bandi ka asar bahut jyada hua hai waha Aadhar Micro ATM ke use se paiso ki problems to solve ho jayegi lekin sarkar ko ish muhim ko logo tak jald se jald pahuchana hoga.

Aadhar Micro ATM Se Logo Ko Cash Nikalne Me Aasani Hogi –

Ish suvidha ke baad se logo ka ab ATM hi unka Aadhar card hoga, Ish suvidha se bank se cash nikalne me aasani hogi aur un villages ko sabse jyada fayda hoga jaha abhi bhi cash pahuchne me bahut dikkat aa rahi hai, Aise gaon aur area me jaha ek bhi ATM nahi waha bhi iska use karke logo tak paise pahuchaya ja sakta hai lekin aisa tab hoga jab sarkar puri tarah se sahi jankari un logo tak pahucha sakegi.
Ummid karta hu dosto ki aapko Aadhar Micro ATM ke bare me puri jankari mil chuki hogi aur aap ye bhi jaan samajh chuke hoge ki kaise Aadhar card se paise transfer karte hai,

YE BHI PADE...
Online Job Karke unlimited Paisa Kamaye..
Truebalance App Se Paise Kaise Kamaye
 Computer Me WhatsApp Kaise Chalaye..

Previous
Next Post »

COMMENT HERE ConversionConversion EmoticonEmoticon

Thanks for your comment