Jio 4G internet data Unlimited kaise kare New Hindi Trick.

Hello dosto aaj mai aapko Jio 4G internet data Unlimited kaise kare Uske bare me batane wala hu, Relience Jio ne haal hi me apne welcome offer ko lekar ek announcement ki thi jisme kaha gaya tha ki Jio 4G Hi-Speed Internet ka use aap per day 4GB tak hi kar sakte hai uske baad iski Downloading speed 128KbPs tak reduce kar di jayegi

Ish Service ko har Jio User’s ke liye apply kiya gaya hai, LYF phone User’s ke liye bhi ise apply kara gaya hai aur ish Service ki validity 31 December 2016 tak kari gayi hai, Un bando ko bahut bura lag raha hoga jinhone haal hi me Jio Sim Card buy kari hai aur Unlimited Data ka maja bhi nahi le pa rahe hai.
Jio ki ish internet data ko State ke hisab se distribute kiya gaya hai, Jin state me Jio ke user’s adhik hai un states me Unlimited Internet Data ki Limit 2GB tak rakhi gayi hai aur jin state me ish sim ka uses kam hai waha 4 GB tak ki hui hai, Internet free hi kyu na ho par jab usme Limit hoti hai to Users ko achaa nahi lagta hai, Limit me rahna kisi ko pasand nahi hota hai.


Bahut se bande Jio Limited Data Offer se pareshan hai, bahuto ko Internet Free me to mil rahi hai par speed limited hone ki wajah se sim ka proper tarike use  se nahi kar pa rahe hai, Kai log iske liye tricks ka use bhi kar rahe hai lekin usse bhi baat nahi ban rahi hai, actually hota kya hai Internet me tricks to available hoti hai par wo work nahi karti hai aisa nahi hai ki sabhi trick work nahi karti hai isme se kuch aise bhi hote hai jiska use kiya ja sakta hai.

Jio Internet Data Ko Unlimited Kaise Karte Hai?

Jio Data ko unlimited karne ke liye Internet me aapko bahut se tricks milege lekin kuch hi aise tricks hote hai jo sahi tarike se work karti hai aur hamare bataye ish trick ko maine bahut khoj kar nikala hai Ummid hai aapke smartphone me work karegi.
Bahuto ke state problem ki wajah se Jio Unlimited trick work nahi karti hai lekin mai unke liye yaha ek trick mention karuga jiska use aap kar sakte hai.

Trick No 1 –

Relience Jio Unlimited Data Plan
Step 1. Sabse pahle Phone settings >> Apps me jakar My Jio App ka data cleare kariye.

Step 2. Ab Playstore me Jakar Latest My Jio App install kariye.

Step 3. Ab My Jio App me Listed sabhi apps ko apne phone me Install kariye.

Step 4. Sare apps ko Install karne ke baad My Jio app se exit ho jaiye aur background me chal rahe sabhi running apps ko cleare kariye.

Step 5. Ab phone data off kariye aur My Jio App ko open kariye.

Step 6. My jio app open hone ke baad Phone Data ko on kariye aur Skip karke My Jio me LogIn kariye.

Step 7. SignIn karne ke baad kuch minut wait kariye.

Step 8. Ab ek PopUp page open hoga usme Press submit to activate jio prevew offer Button par click kariye.

Step 9. Ab kuch second wait kariye confirmation message ke aane ka, message aane ke baad apka 4G Free Limited Data Unlimited me convert ho jayega.

Trick No 2 – 

Convert Jio 4G Limited Data To Unlimited Internet Data

Step 1. Phone setting >> Apps me jakar My Jio app ka data cleare kariye aur Ise uninstall kariye.

Step 2. Ab Playstore se Latest My Jio App install kariye.

Step 3. Ab Jio app ko open kariye aur isme Listed sabhi apps ko install kariye.

Step 4. Ab Ish Website https://www.jio.com/Jio/portal/getMyJio me jaiye aur SignUp kariye agar aap pahle se SignUp hai to SignIn kariye.

Step 5. Ab apne Phone data ko off kariye aur background sabhi apps ko cleare kariye.

Step 6. Ab wapas phone setting >> Apps me jaiye aur My jio ka Data cleare kariye.

Step 7. Ab phone Data ko on kariye aur My jio app ko open kar signin kariye (SignIn karne ke liye Skip button par click kariye aur agar signin nahi hota hai to Jis website me aapko maine register karne ko kaha tha waha ka number aur pass enter karke signin kariye)

Step 8. Jab sign ho jaye tab popup page khulne ka wait kariye.

Step 9. PopUp page khul jaye tab Submit button par click karke unlimited internet data plan Activae kar lijiye.

Note :- Kabhi kabhi Popup page open nahi hoti hai tab aap ise open karne ke liye ish process ko repeat kar sakte hai, jab tak popup page khul nahi jati hai process ko repeat karte rahiye.
To dosto itna karne ke baad aapke jio sim ki Limited Internet data offer Unlimited data me convert ho jayegi, Ish Unlimited offer ko sabhi Users ke liye launche kiya gaya hai lekin isko apply kaise karna hai ye aapko maine upar hi bata diya hai aap dono me se kisi ek tarike ka use karke apne phone me unlimited data pa sakte hai.
Previous
Next Post »

COMMENT HERE ConversionConversion EmoticonEmoticon

Thanks for your comment